[ Google AdSense 728x90 ]
Romantic 📄 132 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-10-24

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne Apna deewana banaaya merey jaana tu ne Jab se dekha hai tujhe, dil nahin kaabu mein mera Kafir-e-ishq bana kar liya imaan tu ne Khusha-naseeb ke nisbat ataa kiya tu ne Karam kiya, mujhe apna bana liya tu ne Hazaar baar yahi sochta hoon rah-rah kar Main kya tha aur mujhe kya bana diya tu ne Isi adaa pe teri mit gaye hain deewane Khata hui to khata ko chhupa liya tu ne Ye mera zarf, khata pe khata hui mujhe se Wo shaan teri, karam pe karam kiya tu ne Teri talash mein jab gum hua koi banda To us ko bandey se maula bana diya tu ne Terey ehsaan ka badla to nahin ho sakta Meri mushkil ko humesha kiya asaan tu ne.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry