[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 69 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-10-24

Jo hain aashna sir’re asraar ke

Jo hain aashna sir’re asraar ke Wo hain yaar har yaar-o-aghyaar ke Andhera ujaala, nihaan aur ayaan Ye jalwe hain sab jalwa-e-yaar ke Bahaar-o-khizaan hum pe hai eksaan Kabhi yaar-e-ghul hain kabhi khaar ke Idhar ki nahin jaante rasm-o-raah Miyan hum to baashinda hain paar ke Kahaan se kahaan le ke panhucha ye dil Malaayak jahaan se rahye haar ke Nahin Qais-o-Farhaad sa main Niyaz Ke hon gard-e-sahra–o-kohsaar ke.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry