[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 117 words   ⏱ 1 min read   📅 2014-05-01

Ek Baar Jo Tak Lay Usay Takta Hi Chala Jaye

Ek Baar Jo Tak Lay Usay Takta Hi Chala Jaye Shola Sa Badan Uska Dehakta Hi Chala Jaye Kardaar Ada Jab Main Karoun Baad-e-Saba Ka Woh Phool Ki Maanind Mehakta Hi Chala Jaye Haalaat Ki Bijli Nay Kiya Raakh Nasheman Par Aas Ka Panchi Kah Chehakta Hi Chala Jaye Aa Jayen Muyassar Jisay Aankhoun K Woh Saaghar Woh Rind To Pii Pii K Behakta Hi Chala Jaye Phooloun Ki Tawaqa Hay Nah Imkaan Samar Ka Ek Pair Magar Phir Bhi Lehakta Hi Chala Jaye Ham Laakh Muhazzab Houn Magar Tum Hi Batao Jab Zabt Ka Paimana Chalakta Hi Chala Jaye Har Gaam Pah Ilzaam Ab Bhi Hain Lakin Un Paaoun Main Bichwa Jo Chanakta Hi Chala Jaye.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry