Door tak chhaaye thay baadal aor kahin saaya na tha, Qateel Shifai, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetr
Door tak chhaaye thay baadal aor kahin saaya na tha
Is tarah barsaat ka mosam kabhi aaya na tha
Kaya mila aakhir tujhe,saayon k peechhe bhaag kar
Ae dil-e nadaa'n,tujhe kaya ham ne samjhaaya na tha
Uff ye sanaatta k aahat tak na ho jis main mukhal
Zindagi main is qadar ham ne sakoo'n paaya na tha
Khoob roye chhup k ghar ki chaar-diwaari main ham
Haal-e dil kehne k qaabil koi hamsaaya na tha
Ho gaye qalaash jab se aas ki dolat lutti
Paas apne,aor to koi bhi sarmaaya na tha
Wo payyambr ho k aashiq,qatal-gaah e shouq main
Taaj kaanton ka kise dunya ne pehnaaya na tha
Ab khula,jhonkon k peechhe chal rahi thi aandhiyan
Ab jo manzar ha wo pehle to nazar aaya na tha
Sirf khushbu ki kmi thi ghor k qaabil QATEEL
Warna gulshan main koi bhi phool murjhaaya na tha.