[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 126 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-10-24

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry