[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 100 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-10-24

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota Ya mera taaj gadayana banaaya hota Apna deewana banaya mujhe hota tu ne Kyun khirad mand banaaya, na banaaya hota Khaksaari ke liye gar che banaaya tha mujhe Kaash !!! sang-e-dar-e-janaana banaay hota Nash’aa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko Umr ka tang na paimaana banaaya hota Dil-e-sad chaak banaaya, to balaa se, lekin Zulf-e-mushkeen ka teri shaana banaaya hota Soofiyon ke jo na tha laayaq-e-sohbat to mujhe Qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaay hota Tha jalaana hi agar doori-e-saaqi se mujhe To charaagh-e-dar-e-janaana banaaya hota Roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai Aisi basti se to weerana banaaya hota.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry