[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 112 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-11-14

Wo mujh sey milney aaya jab kuch tanha tanha lagta tha

Wo mujh sey milney aaya jab kuch tanha tanha lagta tha Mehfil main meri betha tha par tanha tanha lagta tha Hount bhi us key larz rahey they chehra bhi kuch utra sa Hans bhi raha tha lekin wo kuch tanha tanha lagta tha Nazrein jhukaaye kab sey wo ikk butt kii maanand betha tha Sab sey mil kar bhi wo kuch tanha tanha lagta tha Main bhi us key pass gaya haathoun ko us key thaam liyaa Phir bhi najaaney mujh ko kyoun wo tanha tanha lagta tha Main bhi soch main doob gaya usey bhi kuch kuch ho sa gaya Pahley sey bhi ziada wo kuch tanha tanha lagta tha.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry