[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 76 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-11-15

Uski paayal agar chhanak jaaye

Uski paayal agar chhanak jaaye Gardishe aasmaan bhatak jaaye Uski hansne ki kaifiyat tauba Jaise bijli chamak chamak jaaye Uski gardan ka tazkira sun kar Jo suraahi hai wo chhalak jaaye Le agar jhoom kar wo angraai Zindgi daar par laTak jaaye Aise bharpoor hai badan uska Jaise saawan ka aam pak jaaye Chuur hai aise baankpan uska Jaise das das k saanp thak jaaye Haaye us mehjabeen ki yaad Jaise seene me damm attak jaaye.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry