[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 126 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-10-27

Urdu Ghazal,

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo Shamim Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry