[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 106 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-12-07

Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain

Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain ab to chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain ab to ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry