[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 109 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-11-30

Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain

Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain Fareb-e-zindagi ki aag mein insaan jalate hain Dilon mein azmat-e-tauheed ke deepak afsurda hain Jabinon par riya-o-kubr ke saman jalate hain Hawas ki bar-yabi hai Khirad-mandon ki mahafil mein Rupehli tikliyon ki oot mein eman jalate hain Hawadis raqs-farma hain qayamat muskurati hai Suna hai nakhuda ke naam se toofaan jalate hain Shagoofe jhoolate hain is chaman mein bhook ke jhoole Baharon mein nasheman to bahar-e-unwaan jalate hain Kahin pazeb ki chan-chan mein majboori tarapti hai Riya dam tod deti hai sunehre daan jalate hain Manao jashn-e-may-noshi bikhrao zulf-e-may khana Ibadat se to Sagar dahar ke shaitaan jalate hain.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry