[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 290 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-10-24

Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghaz

Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon Jagmagati jaagati sarko peh aawara phrioon Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si Maire seene par magar chalati hui shamsheer si Ai gham-e-dil kya karoon ai wahshat-e-dil kya karoon Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chal Yeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan Barh rahi hai god phailai hue ruswaian Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane Saikaron Changez-O-Naadir hain nazar ke samane Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon Ai gham-e-dil kya kaoon, ai wahshat-e-dil kya karoon.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry