[ Google AdSense 728x90 ]
Romantic 📄 116 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-12-05

Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun

Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun paye fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry