Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi
Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi
Na rok haath k ghum be-hisaab hai Saaqi
Shauur zehen ko dasta hai naagino ki tarah
Pila! k hosh mein rehna azaab hai Saaqi
Sakun hayat ka chota sa baab hai piyaare
Sukun k baab mein poori kitaab hai Saaqi
Gham-o-Alam ka musarrat ka shaadmani ka
Har ik sawaal ka bus ik jawaab hai Saaqi
Mubaada kaan dharun naasihon ki baaton par
Behak na jaaon zamana kharaab hai Saaqi.