[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 90 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-11-09

Kisi bhi dukh par malaal kerna

Kisi bhi dukh par malaal kerna na usko aaya na mujko aaya Wafaaoun ko laazawaal kerna na usko aaya na mujko aaya Jo faaslay thay inhaiN mitaana agharchay dono hi chahtay thay Maghar taaluq bahaal kerna na usko aaya na mujko aaya DhukhuN maiN doobi sadaayeN sun kar na hi wo roya ' na hi maiN tarpa Kay rouh ko maala-maal kerna na usko aaya na muj ko aaya Duwa kay roshan chiraagh apni hatheliyuN par jalaey hum nay KHUDA say lykin sawaal kerna na usko aaya na mujko aaya.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry