[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 122 words   ⏱ 1 min read   📅 2014-05-15

Hijr ka taara doob chala hai, Wasi Shah, Wasi Shah Best Poetry, Heart Touching Poetry By Wasi Shah,

Hijr ka taara doob chala hai, dhalnay lagi hai raat Wasi Qatra qatra baras rahi hai ashkhon ki barsaat Wasi Tere baad yeh duniya waalay mujh ko pagal kar dain gay Khushbu k des mein mujh ko lay chal apnay saath Wasi Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum-sum betho gay? Khamoshi se dum ghut-ta hai, chhairo koi baat Wasi Aaj tau us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai Mausam badla, duniya badli, badal gaye haalaat Wasi Mere ghar khushbu ka yeh raqs ussi k dum se hai Us k saath chali jaaye gi phoolon ki baaraat Wasi Chhorr "WASI" ab uski yaadein tujh ko pagal kar dain gi Tu qatra hai,woh dariya hai,dekh apni auqaat "WASI".
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry