[ Google AdSense 728x90 ]
Romantic 📄 131 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-11-07

Her taraf besumaar khushiyaan nazar aayi

Her taraf besumaar khushiyaan nazar aayi khiza ke mausam mein bhi bahaar nazar aayi dil mein armaano ka sagar nazar aaya to kahin pyaar mein bheega hua sawan nazar aaya kahin phoolon per bhaithi hui shabnam gunguna rahi thi to kahin oer jalti hui shama bhi muskura rahi thi her ek pal tha jazbaaton ki khushbu se mehka hua waqt yun lagta tha jaise hai kahin thehra hua par aaj yun lagta hai jaise jeene ka sahara choot gaya khushiyo ka farishta bhi meri zindagi se jaise rooth gaya ab na woh bahar hai na jazbaaton se mehka hua samaa na koi ummeed hai ab, na hai armaano ka jahaan ab to bus tanhaaiyon ka saath hai or kuch nahi maut ka intezaar hai ab jeene ki koi chah baki nahi
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry