[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 138 words   ⏱ 1 min read   📅 2014-02-15

Her shay ka soda hota hai, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Ghazal, Latest Ghazal, Urdu Poetry,

Her shay ka soda hota hai Her cheez bikao hoti hai Her fard yahan per taajir hai Her waqt tijaarat hoti hai Tum aap he apnay daam kaho Chup kr nahi sar-e-aam kaho Kiya lo gay apni yaari ka Kiya lo gay tum dildaari ka Gham-khwaar bano gay kitnay main Tum pyaar karo gay kitnay main Sub jazbay meray naam karo Hum naam tum apna daam kaho Per daam chukanay ki khaatir Hum apna daftar kholein to Hum apni jaib tatolein to Bus pyaar milay ga thora sa Azaar milay ga thora sa Ye sikkay yahan kab chaltay hen Kiya udhaar milay ga thora sa Ye dunya be-atebaari ki Ye arz hai her beopaari ki Chal chor tamana jazbon ki Bus soday he dekh ayen hum Hum khaali hath he aye thay Chal khaali hath he jayen hum.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry