[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 133 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-10-24

Es baat say hum ko kia mathlab,

Es baat say hum ko kia mathlab, ye kaysay ho ye kionkar ho Ik bheek kay 2no kaasay hain, ik pyas kay 2no pyasay hain Hum khathe hain, tum baadal ho, hum nadiya hain, thum sagar ho Ye dil hay keh jalthay seenay main, ik dard ka phorha ulharh sa Na gupth rahay, na phoot bahay, koye marham ho koye nishthar ho Hum saanj samay ki chaya hain,thum charhte raath ki chadar ma'an Hum jathay hain thum ayay ho, phir mail ki soorath kionkar ho Ab husn ka ruthba aali hay, abb husn say sehra khali hay Chal basthe main banjara ban, chal nagri main saudagar ho abb Insha g ko bulana kia, abb pyar kay deep jalana kia jab dhoop aur chaya aik say hoon, jab din aur raath bara bar ho.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry