[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 82 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-10-28

Dil hai mera maqaam-e-gham,

Dil hai mera maqaam-e-gham, gham ka maqaam hai yahaan Naa’la-e-subah hai yahaan, giriyaa-e-shaam hai yahaan Ek tasawwur-e-haseen khilwat-e-dil mein hai makeen Deeda-e-shauq ke liye deed haraam hai yahaan Nikhat-e-noor-o-naar udhar, zulmat-o-soz-o-saaz idhar Subah hi subah hai wahaan, shaam hi shaam hai yahaan Sahan-e-chaman mein har jagah nash’sha sa failne lagaa Aaj yah kaun mahalaqaa mast-e-khiraam hai yahaan Mera alam’kada nahin rang-e-tarab se aashna fasl-e-khijaan ho ya bahaar, maatam-e-aam hai yahaan Unke liye suroor-e-naaz, mere liye gham-o-gudaaz Gardish-e-chashm hai wahaan, gardish-e-jaam hai yahaan.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry