[ Google AdSense 728x90 ]
Urdu Poetry 📄 104 words   ⏱ 1 min read   📅 2013-12-02

Baad muddat unhein dekh kar youn lagaa

Baad muddat unhein dekh kar youn lagaa jaise betaab dil ko qaraar aa gayaa aarzoon ke gul muskuraane lagay jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayaa tashna nazrein milin shoKh nazaron se jab mai barasane lagi jaam bharane lagaa saaqiyaa aaj teri zaroorat nahin bin piye bin pilaaye Khumaar aa gayaa raat soney lagi subah honey lagi shammaa bujhane lagi dil machalane lage waqt ki raushani mein nahaai huyi zindagi pe ajab saa nikhaar aa gayaa har taraf mastiyaan har taraf dil kashi muskuraate dilon mein Khushi hi Khushi kitna chaahaa magar phir bhi uth na sakaa teri mahafil mein jo ek baar aa gayaa.
◀ Prev 📚 All Poetry Next ▶

More Poetry